muḳhtasar hī sahī mayassar hai
jo bhī kuchh hai nahīñ se behtar hai
din-dahāḌe gunāh kartā huuñ
mo'tabar ho na jā.ūñ ye Dar hai
manch par kāmyāb ho ki na ho
mujh ko kirdār apnā azbar hai
sab ko pathrā diyā palak jhapke
ham na kahte the shobada-gar hai
ain mumkin hai vo palaT aa.e
merā īmān mojazoñ par hai
pahle mausam pe tabsira karnā
phir vo kahnā jo dil ke andar hai
saare manzar hasīn lagte haiñ
dūriyāñ kam na hoñ to behtar hai
rāste bain kar rahe haiñ kyuuñ
kyā masāfat ye intihā par hai
fasl boī bhī ham ne kaaTī bhī
ab na kahnā zamīn banjar hai