Sabir

hamari bechaini uski palken bhigo gai hai

Sabir

Maharashtra, India

1975
hamārī bechainī us kī palkeñ bhigo ga.ī hai
ye raat yuuñ ban rahī hai jaise ki so ga.ī hai
diye the kaalī ghaTā ko ham ne udhār aañsū
kise kaheñ ab ki saarī pūñjī Dubo ga.ī hai
ham us kī ḳhātir bachā na pā.eñge umr apnī
fuzūl-ḳharchī kī ham ko aadat sī ho ga.ī hai
vo ek sāhil ki jis pe tum ḳhud ko DhūñDte ho
vahīñ pe ik shaam mere hisse kī kho ga.ī hai
maiñ yuuñ hī mohre baḌhā rahā huuñ jhijak jhijak kar
ḳhabar use bhī hai baazī vo haar to ga.ī hai
Top Urdushayar.com