Sabir

tumhaare aalam se mera aalam zara alag hai

Sabir

Maharashtra, India

1975
tumhāre aalam se merā aalam zarā alag hai
ho tum bhī ġhamgīñ magar mirā ġham zarā alag hai
yahāñ pe hañsnā ravā hai ronā hai be-hayā.ī
suqūt-e-shahr-e-junūñ kā mātam zarā alag hai
khuleñge shāḳhoñ ke raaz ahl-e-chaman par ab ke
girah girah se ulajhtī shabnam zarā alag hai
tire tasavvur kī dhuup oḌhe khaḌā huuñ chhat par
mire liye sardiyoñ kā mausam zarā alag hai
zarā sā badlā huā hai tarz-e-kalām 'sābir'
vahī purāne haiñ lafz dam-ḳham zarā alag hai
Top Urdushayar.com