Ranjoor Azimabadi

main aur ham-aghosh hun us rashk-e-pari se

Ranjoor Azimabadi

Sadiqpur, Bihar, India

1863-1923
maiñ aur ham-āġhosh huuñ us rashk-e-parī se
kab is kī tavaqqo.a mujhe be-bāl-o-parī se
jāgeñge nasīb apne na āh-e-saharī se
āgāh haiñ us aah kī ham be-asarī se
hai vasl kī ḳhvāhish tujhe us rashk-e-parī se
hairāñ huuñ maiñ ai dil tirī behūda-sarī se
īmān meñ zāhid ke bhī aa jaa.e tazalzul
dekhe jo mirā but use kāfir-nazarī se
in āñkhoñ ke raste se mire dil meñ chale aa.e
is tarah ġharaz pahuñche vo ḳhushkī meñ tarī se
qāsid se na bardāsht hue un ke mazālim
baaz aayā vo āḳhir mirī paiġhām-barī se
āñchal kī havā de koī is ġhuncha-e-dil ko
vā ho nahīñ saktā ye nasīm-e-saharī se
ye shīsha-e-dil deñ to ham ai tifl-e-parī-rū
par is meñ na baal aa.e tirī be-hunarī se
hosh uḌ ga.e jaatā rahā qaabū se dil apnā
āñkheñ jo mirī chaar huiiñ ek parī se
kab haath uThā kar maiñ duā vasl kī māñgūñ
fursat hai junūñ meñ kab inheñ jāma-zarī se
baazū bhī hilā.e bahut aur paañv bhī paTke
par uḌ na sakī chaal tirī kabk-e-darī se
'ranjūr' na hogā maraz-e-ishq se jāñ-bar
ai chāragar ab haath uThā chāragarī se
Top Urdushayar.com