Ranjoor Azimabadi

sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai

Ranjoor Azimabadi

Sadiqpur, Bihar, India

1863-1923
saudā-e-sajda shām-o-sahar mere sar meñ hai
ai but kashish kuchh aisī tire sañg-e-dar meñ hai
maiñ kab huuñ ye mirā tan-e-be-jāñ hazar meñ hai
rūh-e-ravān-e-qālib-e-tan to safar meñ hai
ye ek asar to adviya-e-chāragar meñ hai
shiddat ab aur bhī mire dard-e-jigar meñ hai
saudā-e-ishq zulf-e-siyah jis ke sar meñ hai
kab mutlaq imtiyāz use nafā o zarar meñ hai
kyā aa.egā kisī but-e-shīrīñ-dahan pe dil
kyuuñ mīThā mīThā dard hamāre jigar meñ hai
chheḌā mujhe ki nuuh kā tūfāñ bapā huā
ik bahr-e-ashk band mirī chashm-e-tar meñ hai
pahuñchā kisī ko sadma ki ham loTne lage
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
nok-e-mizha kā rahne lagā dil meñ phir ḳhayāl
shiddat kī Tiis phir mire zaḳhm-e-jigar meñ hai
saudā-e-zulf-e-yār meñ hai dard-e-sar zarūr
ik ḳhaas lutf bhī magar is dard-e-sar meñ hai
merā ye naḳhl-e-dil bhī hai āzād misl-e-sarv
gul is shajar meñ hai na samar is shajar meñ hai
chāhe to lā-makāñ kī bhī le aa.e ye ḳhabar
ye zor tā.er-e-dil-e-be-bāl-o-par meñ hai
dushnām se bhī yaar kī aatī hai bū-e-lutf
kuchh shak nahīñ ki ḳhair nihāñ us ke shar meñ hai
kuchh shak nahīñ ki qurb-e-qayāmat kī hai dalīl
ye fitna o fasād ki ab bahr o bar meñ hai
ho us se mere dīda-e-tar kā muqābla
'ranjūr' is kī taab kahāñ abr-e-tar meñ hai
Top Urdushayar.com