yaañ hosh se be-zār huā bhī nahīñ jaatā
us bazm meñ hushyār huā bhī nahīñ jaatā
kahte ho ki ham vāda-e-pursish nahīñ karte
ye sun ke to bīmār huā bhī nahīñ jaatā
dushvāri-e-inkār se tālib nahīñ Darte
yuuñ sahl to iqrār huā bhī nahīñ jaatā
aate haiñ ayādat ko to karte haiñ nasīhat
ahbāb se ġham-ḳhvār huā bhī nahīñ jaatā
jaate hue khāte ho mirī jaan kī qasmeñ
ab jaan se be-zār huā bhī nahīñ jaatā
ġham kyā hai agar manzil-e-jānāñ hai bahut duur
kyā ḳhāk-e-rah-e-yār huā bhī nahīñ jaatā
dekhā na gayā us se taḌapte hue dil ko
zālim se jafākār huā bhī nahīñ jaatā
ye turfa sitam hai ki sitam bhī hai karam bhī
ab ḳhūgar-e-āzār huā bhī nahīñ jaatā