is auj par na uchhālo mujhe havā kar ke
ki maiñ jahāñ se huuñ utrā ḳhudā ḳhudā kar ke
azal se mujh se hai vābasta ḳhair-o-shar kā nizām
na dekho mujh ko mirī zaat se judā kar ke
maiñ jāntā huuñ muqaffal haiñ saare darvāze
mujhe ye zid hai ki guzrūñ magar sadā kar ke
maiñ apne daur ke is karb kā huuñ ā.īna
jo pesh-rau hue ruḳhsat mujhe atā kar ke
shikast-e-zabt pe maiñ bhī bahut ḳhajil huuñ magar
khulā hai us kā bharam merā sāmnā kar ke
ye faḳhr kam nahīñ fāriġh hai dil ġharīb to kyā
ki aabrū to nahīñ khoī iltijā kar ke