mere lab par koī duā hī nahīñ
is karam kī kuchh intihā hī nahīñ
kashti-e-e'tibār toḌ ke dekh
ki ḳhudā bhī hai nā-ḳhudā hī nahīñ
merī hastī gavāh hai ki mujhe
tū kisī vaqt bhūltā hī nahīñ
ab use nā-ummīd kyuuñ kahiye
dil ko taufīq-e-mudda.ā hī nahīñ
ġham meñ lazzat kahāñ ki dil na rahā
haa.e vo hasrat-āshna hī nahīñ
vahī tū hai vahī tirī mahfil
ek 'fānī'-e-mubtalā hī nahīñ