terī ḳhātir ye fusūñ ham ne jagā rakkhā hai
varna ārā.ish-e-afkār meñ kyā rakkhā hai
hai tirā aks hī ā.īna-e-dil kī zīnat
ek tasvīr se album ko sajā rakkhā hai
barg-e-sad-chāk kā parda hai shagufta gul se
qahqahoñ se ka.ī zaḳhmoñ ko chhupā rakkhā hai
ab na bhaTkeñge musāfir na.ī nasloñ ke kabhī
ham ne rāhoñ meñ lahū apnā jalā rakkhā hai
ham se insāñ kī ḳhajālat nahīñ dekhī jaatī
kam-savādoñ kā bharam ham ne ravā rakkhā hai
kis qayāmat kā hai dīdār tirā va.ada-shikan
dil-e-betāb ne ik hashr uThā rakkhā hai
koī mushkil nahīñ pahchān hamārī 'fāriġh'
apnī ḳhushbū kā safar ham ne judā rakkhā hai