Farigh Bukhari

kya adu kya dost sab ko bha gain ruswaiyan

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
kyā adū kyā dost sab ko bhā ga.iiñ rusvā.iyāñ
kaun aa kar nāptā ehsās kī pahnā.iyāñ
ab kisī mausam kī be-rahmī kā koī ġham nahīñ
ham ne āñkhoñ meñ sajā.ī haiñ tirī añgḌā.iyāñ
aap kyā aa.e bahāroñ ke darīche khul ga.e
ḳhushbuoñ meñ bas ga.iiñ tarsī huī tanhā.iyāñ
chāñd ban kar kaun utrā hai qabā-e-jism meñ
jaag uTThī haiñ ḳhayāl-o-fikr kī gahrā.iyāñ
dil pe hai chhāyā huā bedār ḳhvāboñ kā tilism
zehn ke āñgan meñ lahrātī haiñ kuchh parchhā.iyāñ
aaj 'fāriġh' ujḌe ujḌe se haiñ 'ġhālib' kī tarah
yaad thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.īyāñ
Top Urdushayar.com