Farigh Bukhari

dekha tujhe to aankhon ne aiwan saja liye

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
dekhā tujhe to āñkhoñ ne aivāñ sajā liye
jaise tamām kho.e hue ḳhvāb pā liye
jitne the tere mahke hue āñchaloñ ke rañg
sab titliyoñ ne aur dhanak ne uḌā liye
aisī ghuTī fazāoñ meñ kaise jiyeñge vo
kuchh qāfile jo aa.e haiñ taaza havā liye
in sar-phirī havāoñ se kuchh āshnā to huuñ
gahre samundaroñ meñ na kashtī ko Dāliye
iz.hār kījiye ki zarā karb kam to ho
ai dosto dukhoñ ko diloñ meñ na pāliye
ḳhud hī uThā.eñ apne junūñ kī jarāhateñ
ye rog dūsroñ ke na khāte meñ Dāliye
pahle ye kohsār to tasḳhīr kījiye
'fāriġh' abhī falak pe kamandeñ na Dāliye
Top Urdushayar.com