Farigh Bukhari

jangal uga tha hadd-e-nazar tak sadaon ka

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
jañgal ugā thā hadd-e-nazar tak sadāoñ kā
dekhā jo muḌ ke naqsha hī badlā thā gaañv kā
jismoñ kī qaid toḌ ke nikle to shahr meñ
hone lagā hai ham pe gumāñ devtāoñ kā
achchhā huā tahī haiñ zar-e-bandagī se ham
har moḌ par hujūm khaḌā hai ḳhudāoñ kā
sahrā kā ḳhaar ḳhaar hai mahrūm-e-tishnagī
kitnā sitam zarīf vo chhālā thā paañv kā
sar rakh ke ham bhī raat ke patthar pe so ga.e
ham ko bhī raas aayā na tesha vafāoñ kā
begānagī se mujh ko na yuuñ dekhiye ki maiñ
hissa huuñ aap hī ke darīche kī chhāñv kā
detā hai kaun dil ke kivāḌoñ pe dastakeñ
ye kaun ruup dhaar ke aayā havāoñ kā
'fāriġh' ġhubār-e-rāh ko tahqīr se na dekh
paiġhambar-e-bahār hai mausam ḳhizāoñ kā
Top Urdushayar.com