Farigh Bukhari

kuchh nahin garche teri rahguzar se aage

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
kuchh nahīñ garche tirī rāhguzar se aage
dekhnā kufr nahīñ hadd-e-nazar se aage
ḳhud-farebī ke liye garm-e-safar haiñ varna
kyā hai manzil ke sivā gard-e-safar se aage
merā aflāk bhī taskīn-e-nazar ho na sakā
the vahī shams-o-qamar shams-o-qamar se aage
zindagī vaqt kī dīvāroñ meñ mahbūs rahī
koī parda na uThā shām-o-sahar se aage
aaj ke daur kā da.avā hai ki anqā ke sivā
koī uqda nahīñ irfān-e-bashar se aage
qatre qatre ko taraste rahe sahrā 'fāriġh'
jhuum kar uTThe bhī bādal to vo barse aage
Top Urdushayar.com