Farigh Bukhari

wo raushni hai kahan jis ke baad saya nahin

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997

vo raushnī hai kahāñ jis ke ba.ad saayā nahīñ

kisī ne aaj talak ye surāġh paayā nahīñ

kahāñ se lā.ūñ vo dil jo tirā burā chāhe

udū-e-jāñ tirā dukh bhī koī parāyā nahīñ

tirī sabāhat-e-sad-rañg meñ bikhar jā.ūñ

abhī vo lamha mirī zindagī meñ aayā nahīñ

tire vajūd pe añgḌā.ī ban ke TuuTā hai

vo naġhma jo kisī mutrib ne gungunāyā nahīñ

na.ī-navelī zamīnoñ soñdhī ḳhushbū meñ

vo chāñdnī hai ki jis meñ koī nahāyā nahīñ

ham ek fikr ke paikar haiñ ik ḳhayāl ke phuul

tirā vajūd nahīñ hai to merā saayā nahīñ

vo baab jis meñ tavānā.iyoñ ḳhushbū hai

fasāna-sāz ne 'fāriġh' kabhī sunāyā nahīñ

Top Urdushayar.com