Farigh Bukhari

yaad aaenge zamane ko misalon ke liye

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
yaad ā.eñge zamāne ko misāloñ ke liye
jaise bosīda kitābeñ hoñ havāloñ ke liye
dekh yuuñ vaqt kī dahlīz se Takrā ke na gir
rāste band nahīñ sochne vāloñ ke liye
aao ta.amīr kareñ apnī vafā kā ma.abad
ham na masjid ke liye haiñ na shivāloñ ke liye
sālhā-sāl aqīdat se khulā rahtā hai
munfarid rāhoñ kā āġhosh jiyāloñ ke liye
raat kā karb hai gulbāñg-e-sahar kā ḳhāliq
pyaar kā giit hai ye dard ujāloñ ke liye
shab-e-furqat meñ sulagtī huī yādoñ ke sivā
aur kyā rakkhā hai ham chāhne vāloñ ke liye
Top Urdushayar.com