Farigh Bukhari

hawas luT liye shorish-e-tamanna ne

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
havās luuT liye shorish-e-tamannā ne
harī rutoñ ke liye ban ga.e haiñ dīvāne
badalte der nahīñ lagtī ab haqīqat ko
jo kal kī bāteñ haiñ vo aaj ke haiñ afsāne
hai ab to qat-e-ta.alluq kī ek hī sūrat
ḳhudā kare tū hameñ dekh kar na pahchāne
jo tere kūche se nikle to ik tamāsha the
ajiib nazroñ se dekhā hai ham ko duniyā ne
safar meñ koī kisī ke liye Thahartā nahīñ
na muḌ ke dekhā kabhī sāhiloñ ko dariyā ne
ḳhizāñ ne dast-e-basārat ko Das liyā 'fāriġh'
chale the qāfla-e-fasl-e-gul ko Thahrāne
Top Urdushayar.com