Farigh Bukhari

koi manzar bhi suhana nahin rahne dete

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
koī manzar bhī suhānā nahīñ rahne dete
aañkh meñ rañg-e-tamāshā nahīñ rahne dete
chahchahāte hue panchhī ko uḌā dete haiñ
kisī sar meñ koī saudā nahīñ rahne dete
raushnī kā koī parcham jo uThā kar nikle
is tarah daar ko zinda nahīñ rahne dete
kyā zamāna hai ye kyā log haiñ kyā duniyā hai
jaisā chāhe koī vaisā nahīñ rahne dete
kyā kaheñ dīda-varo ham to vo dariyā-dil haiñ
kabhī sāhil ko bhī pyāsā nahīñ rahne dete
rahzanoñ kā vahī manshūr hai ab bhī 'fāriġh'
sar-kashīda koī jaada nahīñ rahne dete
Top Urdushayar.com