kuchh ab ke bahāroñ kā bhī andāz nayā hai
har shāḳh pe ġhunche kī jagah zaḳhm khilā hai
do ghūñT pilā de koī mai ho ki halāhil
vo tishna-labī hai ki badan TuuT rahā hai
us riñd-e-siyah-mast kā īmān na pūchho
tishna ho to maḳhlūq hai pī le to ḳhudā hai
kis baam se aatī hai tirī zulf kī ḳhushbū
dil yādoñ ke ziine pe khaḌā soch rahā hai
kal us ko tarāshoge to pūjegā zamāna
patthar kī tarah aaj jo rāhoñ meñ paḌā hai
dīvānoñ ko saudā-e-talab hī nahīñ varna
har siine kī dhaḌkan kisī manzil kī sadā hai