Farigh Bukhari

yun lagta hai jaise hum dariya ke ruKH par rahte hain

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
yuuñ lagtā hai jaise ham dariyā ke ruḳh par rahte haiñ
us kī andhī lahroñ ke qātil dhāre par bahte haiñ
sadiyoñ kī tārīḳh yahāñ qirtās-e-havā par likkhī hai
qarnoñ ke afsāne ham se koh-o-bayābāñ kahte haiñ
vaqt se pahle bachchoñ ne chehroñ pe buḌhāpā oḌh liyā
titlī ban kar uḌne vaale soch meñ Duube rahte haiñ
jab se andhī zulmat ne sūraj par shab-ḳhūñ maarā hai
sab farzāne apnā apnā chehra DhūñDte rahte haiñ
'fāriġh' kaise daur meñ ye tārīḳh hameñ le aa.ī hai
apne dukh bhī sahte haiñ tārīḳh ke dukh bhī sahte haiñ
Top Urdushayar.com