Farigh Bukhari

KHirad bhi na-mehrban rahegi shuur bhi sar-garan rahega

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
ḳhirad bhī nā-mehrbāñ rahegī shu.ūr bhī sar-garāñ rahegā
in āñdhiyoñ meñ mirā junūn-e-vafā magar zau-fishāñ rahegā
badal sakegī na fitrat-e-sarkashī ko ye gardish-e-zamāna
azal se jo āsmāñ banā hai abad talak āsmāñ rahegā
ulajh ulajh kar mujhe havādis kī tund lahroñ se khelne do
fasurda sāhil kā ḳhushk māhaul mujh ko bār-e-garāñ rahegā
abhī se merī nigāheñ is daur ke tasavvur ko chhū rahī haiñ
bujhī bujhī be-kasoñ kī aahoñ pe bijliyoñ kā gumāñ rahegā
ġharīb insān kī ḳhudī ko baġhāvateñ gudgudā rahī haiñ
na ye jabīñ ab jabīñ rahegī na āstāñ āstāñ rahegā
Top Urdushayar.com