yahī hai daur-e-ġham-e-āshiqī to kyā hogā
isī tarah se kaTī zindagī to kyā hogā
abhī to ham-nafasoñ ko hai vahm-e-chāragarī
huī na dard meñ phir bhī kamī to kyā hogā
ye tīrgī to bahar-e-hāl chhaT hī jā.egī
na raas aa.ī hameñ raushnī to kyā hogā
umiid hai ki kabhī to laboñ pe aa.egī
kabhī na aa.ī laboñ par hañsī to kyā hogā
nafas nafas meñ fuġhāñ hai nazar nazar meñ hirās
kuchh aur din yahī hālat rahī to kyā hogā