Farigh Bukhari

masih-e-waqt sahi hum ko us se kya lena

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
masīh-e-vaqt sahī ham ko us se kyā lenā
kabhī mile bhī to kuchh dard-e-dil baḌhā lenā
hazār tark-e-vafā kā ḳhayāl ho lekin
jo rū-ba-rū hoñ to baḌh kar gale lagā lenā
kisī ko choT lage apne dil ko ḳhuuñ karnā
zamāne bhar ke ġhamoñ ko gale lagā lenā
ḳhumār TuuTe to kaise ki ham ne siikh liyā
jo tū na ho to tirī yaad se nasha lenā
safīna Duub bhī jaa.e to ġham nahīñ 'fāriġh'
na bhuul kar kabhī ehsān-e-nāḳhudā lenā
Top Urdushayar.com