rañg-dar-rañg hijābāt uThāne hoñge
be-mahābā hameñ sab jalve dikhāne hoñge
jin ko tārīḳh kī nazreñ bhī kabhī chhū na sakeñ
batn-e-gītī meñ ka.ī aise zamāne hoñge
aaj tak shāhoñ kī tahvīl meñ jo aa na sake
saikḌoñ aise pur-asrār ḳhazāne hoñge
pusht-hā-pusht se jo dast-nigar rahte haiñ
an-ginat aise bhī mazlūm gharāne hoñge
jin meñ ġhurbat ke asīroñ ko jagah mil na sakī
vo falak-bos mahallāt girāne hoñge
jin meñ dahqānoñ kī hasrat kā jhalaktā hai lahū
ham ko vo gulshan-e-shādāb jalāne hoñge
na.e andāz se chheḌī hai ġhazal 'fāriġh' ne
ab har ik lab pe baġhāvat ke tarāne hoñge