Farigh Bukhari

do ghaDi baiThe the zulf-e-ambarin ki chhanw mein

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
do ghaḌī baiThe the zulf-e-ambarīñ kī chhāñv meñ
chubh gayā kāñTā dil-e-hasrat-zada ke paañv meñ
kam nahīñ haiñ jab ki shahroñ meñ bhī kuchh vīrāniyāñ
kis tavaqqo par koī jā.egā ab sahrāoñ meñ
kachchī kaliyāñ pakkī fasleñ sar chhupā.eñgī kahāñ
aag shahroñ kī lapak kar aa rahī hai gaañv meñ
zaḳhm-e-nazzārā haiñ jismoñ kī barhana Tahniyāñ
aise patjhaḌ meñ khileñge phuul kyā āshāoñ meñ
kyā kahūñ tūl-e-shab-e-ġham pal meñ sadiyāñ Dhal ga.iiñ
vaqt yuuñ guzrā ki jaise aable hoñ paañv meñ
zindagī meñ aisī kuchh tuġhyāniyāñ aatī rahīñ
bah ga.iiñ haiñ umr bhar kī nekiyāñ dariyāoñ meñ
jalte mausam meñ koī fāriġh nazar aatā nahīñ
Dūbtā jaatā hai har ik peḌ apnī chhāñv meñ
Top Urdushayar.com