Farigh Bukhari

dil ke ghao jab aaankhon mein aate hain

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
dil ke ghaao jab ā.ankhoñ meñ aate haiñ
kitne hī zaḳhmoñ ke shahr basāte haiñ
karb kī hā-hā-kār liye jismoñ meñ ham
jañgal jañgal sahrā sahrā jaate haiñ
do dariyā bhī jab aapas meñ milte haiñ
donoñ apnī apnī pyaas bujhāte haiñ
sochoñ ko lafzoñ kī sazā dene vaale
sapnoñ ke sachche hone se ghabrāte haiñ
dard kā zinda rahnā pyaas kā mo.ajaza hai
dīvāne hī ye ban-bās kamāte haiñ
tārīḳhoñ meñ guzre maazī kī sūrat
ahl-e-junūñ ke naqsh-e-pā mil jaate haiñ
dukh sukh bhī kartā hai sar bhī phoḌtā hai
dīvāroñ se fāriġh ke sau naate haiñ
Top Urdushayar.com