Fani Badayuni

teri tirchhi nazar ka tir hai mushkil se niklega

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
tirī tirchhī nazar kā tiir hai mushkil se niklegā
dil us ke saath niklegā agar ye dil se niklegā
shab-e-ġham meñ bhī merī saḳht-jānī ko na maut aa.ī
tirā kaam ai ajal ab ḳhanjar-e-qātil se niklegā
nigāh-e-shauq merā mudda.ā tū un ko samjhā de
mire muñh se to harf-e-ārzū mushkil se niklegā
kahāñ tak kuchh na kahiye ab to naubat jaan tak pahuñchī
takalluf-bar-taraf ai zabt naala dil se niklegā
tasavvur kyā tirā aayā qayāmat aa ga.ī dil meñ
ki ab har valvala bāhar mazār-e-dil se niklegā
na ā.eñge vo tab bhī dil nikal hī jā.egā 'fānī'
magar mushkil se niklegā baḌī mushkil se niklegā
Top Urdushayar.com