dekh kar us hasīn paikar ko
nashsha sā aa gayā samundar ko
Doltī Dagmagātī sī naav
pī ga.ī aa ke saare sāgar ko
ḳhushk peḌoñ meñ jaan paḌne lagī
dekh kar ruup ke samundar ko
bahr pyāse kī justujū meñ hai
hai sadaf kī talāsh gauhar ko
koī to nīm-vā darīchoñ se
dekhe is rat-jage ke manzar ko
ek devī hai muntazir 'fāriġh'
vā kiye paT sajā.e mandar ko