iz.hār-e-aqīdat meñ kahāñ tak nikal aa.e
ham ahl-e-yaqīñ vahm-o-gumāñ tak nikal aa.e
shādāb bahāroñ ke tamannā.ī kahāñ haiñ
mausam ke qadam zaḳhm-e-ḳhizāñ tak nikal aa.e
ye kaisā alam hai ki garebāñ ho salāmat
aur āñkhoñ se ḳhuuñ bhī rag-e-jāñ tak nikal aa.e
kab niklegī dīvānoñ kī bārāt gharoñ se
sīnoñ meñ baġhāvat ke nishāñ tak nikal aa.e
maqtal meñ bahattar bhī nahīñ nikle haiñ ab ke
dargāhoñ meñ sab pīr-o-javāñ tak nikal aa.e
ab to na karo rāh-numāoñ kī shikāyat
aḳhbāroñ meñ ab un ke bayāñ tak nikal aa.e
ab kaun sar-e-dār nazar aa.egā 'fāriġh'
jab ahl-e-junūñ sūd-o-ziyāñ tak nikal aa.e