chāñdnī ne raat kā mausam javāñ jaise kiyā
ham ne bhī chehra farozāñ shīsha-e-mai se kiyā
pās-e-ḳhuddārī to hai lekin vafā-dushman nahīñ
tum ne ham par tark-e-ulfat kā gumāñ kaise kiyā
ham gunāhoñ kī sharī.at se hue jab āshnā
jism ne jo faisla jaise diyā vaise kiyā
is liye ab Dūbne ke ḳhauf se haiñ be-niyāz
ham ne āġhāz-e-safar dariyāoñ kī tah se kiyā
raushnī apnī luTā.ī ham ne sūraj kī tarah
andhī rātoñ meñ ujālā mash.al-e-lai se kiyā
jab shu.ūr aayā to 'fāriġh' vus.at-fan ke liye
istifāda ham ne duniyā kī har ik shai se kiyā