Farigh Bukhari

hue hain sard dimaghon ke dahke dahke alaw

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
hue haiñ sard dimāġhoñ ke dahke dahke alaav
nafas kī aañch se fikr-o-nazar ke diip jalāo
kiran kiran ko siyah badliyoñ ne gher liyā hai
tasavvurāt ke dhuñdle charāġho raah dikhāo
kahāñ hai gardish-e-daurāñ kidhar hai sail-e-havādis
sukūn-e-marg-e-musalsal meñ Dūbne lagī naav
kabhī ḳhizāñ ke bagūle kabhī bahār ke jhūle
samajh sake na zamāne ke ye utaar chaḌhāo
ajiib sā hai ḳharābāt ke faqīhoñ kā fatvā
bhaḌakte sho.aloñ se tapte diloñ kī pyaas bujhāo
hazār gardaneñ ḳham hoñ burā nahīñ pe sitam hai
ḳhayāl-o-fikr kī pastī nigāh-o-dil kā jhukāo
Top Urdushayar.com