dekhe koī jo chāk-e-garebāñ ke paar bhī
ā.īna-e-ḳhizāñ meñ hai aks-e-bahār bhī
ab har-nafas hai bhīgī sadāoñ kī ik fasīl
mauj-e-havas thī gardish-e-lail-o-nahār bhī
kyā shorish-e-junūñ hai zarā kam nahīñ huā
qurbat ke bāvajūd tirā intizār bhī
kitnī aqīdatoñ ke jigar chaak ho ga.e
kyā sehr thā shu.ūr-e-nazar kā ḳhumār bhī
jo arsh-o-farsh par kabhī aayā nahīñ nazar
dekhā hai us ko ham ne sar-e-rahguzār bhī
vo shor-e-husn thā dam-e-nazzāra-e-jamāl
ham sun sake na apne badan kī pukār bhī
'fāriġh' ḳhayāl-e-yār se maiñ ham-subū rahā
guzrī hai mai-kade meñ shab-e-intizār bhī