Farigh Bukhari

har ek raste ka ham-safar raha hun main

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
har ek rāste kā ham-safar rahā huuñ maiñ
tamām umr hī āshufta-sar rahā huuñ maiñ
qadam qadam pe vahāñ qurbateñ thiiñ aur yahāñ
hujūm-e-shahr se tanhā guzar rahā huuñ maiñ
pukārā jab mujhe tanhā.ī ne to yaad aayā
ki apne saath bahut muḳhtasar rahā huuñ maiñ
ye kaisī rif.ateñ ā.īna-e-nigāh meñ haiñ
kisī sitāre pe jaise utar rahā huuñ maiñ
maiñ raushnī hī kī vahdāniyat kā qaa.il huuñ
mohabbatoñ hī kā paiġhām-bar rahā huuñ maiñ
maiñ shab-parast nahīñ huuñ yahī ḳhatā hai mirī
adā-shanās-e-jamāl-e-sahar rahā huuñ maiñ
yahāñ bas ek nayā tajraba huā 'fāriġh'
ki lamhe lamhe ko mahsūs kar rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com