vo roz-o-shab bhī nahīñ haiñ vo rañg-o-bū bhī nahīñ
vo bazm-e-jām-o-subū bhī nahīñ vo tū bhī nahīñ
na dil dhaḌakte haiñ mil kar na āñkheñ jhuktī haiñ
lahū kī gardisheñ ab misl-e-ābjū bhī nahīñ
kabhī kabhī kī mulāqāt thī sau vo bhī ga.ī
tirī nigāh kā rañg-e-bahāna-jū bhī nahīñ
kab āftāb Dhale aur chāñdnī chhiTke
kisī ko ab ye sar-e-shām justujū bhī nahīñ
bas ab to yaad se hī zindagī ibārat hai
kahāñ kā va.ada ki milne kī aarzū bhī nahīñ
ki jaise bhīge paroñ se uḌāneñ chhin jaa.eñ
diloñ kī sozish-e-be-nām kū-ba-kū bhī nahīñ
vo jis kī garmī qayāmat uThā rahī thī kabhī
usī badan ko jo kaaTo to ab lahū bhī nahīñ
lagī hai tiis baras se hamāre ḳhuuñ kī jhaḌī
magar abhī shajar-e-dār surḳh-rū bhī nahīñ
maiñ sochtā huuñ ji.eñ bhī to kis liye 'fāriġh'
ki ab to shahr meñ pahlī sī aabrū bhī nahīñ