nashshe meñ jo hai kohna sharāboñ se ziyāda
us jism kī ḳhushbū hai gulāboñ se ziyāda
ik qatra-e-shabnam ko taraste haiñ gulistāñ
ye fasl to mumsik hai sarāboñ se ziyāda
paḌhnā hai to insān ko paḌhne kā hunar siikh
har chehre pe likkhā hai kitāboñ se ziyāda
pahuñchā huuñ vahīñ par ki chalā thā maiñ jahāñ se
hastī kā safar bhī nahīñ ḳhvāboñ se ziyāda
ye bikhrī huī zindagī yakjā nahīñ hotī
kam hone pe bhī ham haiñ ḳharāboñ se ziyāda
'fāriġh' kabhī ghaTtī hī nahīñ dard kī daulat
hotī hai hamesha ye hisāboñ se ziyāda