Fani Badayuni

mar kar tere KHayal ko Tale hue to hain

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
mar kar tire ḳhayāl ko Taale hue to haiñ
ham jaan de ke dil ko sambhāle hue to haiñ
be-zār ho na jaa.e kahīñ zindagī se dil
tāsīr se ḳhafā mire naale hue to haiñ
riste haiñ ab ke saal ki bahte haiñ dekhiye
phir fasl-e-gul meñ zaḳhm-e-dil aale hue to haiñ
armāñ jo yuuñ nahīñ to nikalte haiñ kis tarah
yaanī hamāre dil se nikāle hue to haiñ
haañ dard-e-ishq un pe karam kī nazar rahe
sabr o qarār tere havāle hue to haiñ
ye sohbateñ bhī dekhiye laatī haiñ rañg kyā
mehmān ḳhaar paañv ke chhāle hue to haiñ
kyā jāniye ki hashr ho kyā sub.h-e-hashr kā
bedār tere dekhne vaale hue to haiñ
'fānī' tire amal hama-tan jabr hī sahī
sāñche meñ iḳhtiyār ke Dhāle hue to haiñ
Top Urdushayar.com