Farigh Bukhari

main shoala-e-izhaar hun kotah hun qad tak

Farigh Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1917-1997
maiñ sho.ala-e-iz.hār huuñ kotāh huuñ qad tak
vus.at mirī dekho to hai dīvār-e-abad tak
māhaul meñ sab gholte haiñ apnī siyāhī
ruḳh ek hī tasvīr ke haiñ nek se bad tak
kuchh fāsle aise haiñ jo tai ho nahīñ sakte
jo log ki bhaTke haiñ vo bhaTkeñge abad tak
kab tak koī kartā phire kirnoñ kī gadā.ī
zulmat kī kaḌī dhuup to Dastī hai abad tak
yuuñ rūThe muqaddar ki koī kaam na ban paa.e
yuuñ TuuTe sahārā koī pahuñche na madad tak
ab bhī tire nazdīk muvahhid nahīñ 'fāriġh'
iqrār kiyā hai tirā inkār kī had tak
Top Urdushayar.com