bijliyāñ TuuT paḌīñ jab vo muqābil se uThā
mil ke palTī thiiñ nigāheñ ki dhuāñ dil se uThā
jalva mahsūs sahī aañkh ko āzād to kar
qaid-e-ādāb-e-tamāshā bhī to mahfil se uThā
phir to mizrāb-e-junūñ sāz-e-anā-lailā chheḌ
haa.e vo shor-e-anal-qais ki mahmil se uThā
iḳhtiyār ek adā thī mirī majbūrī kī
lutf-e-sa.i-e-amal is matlab-e-hāsil se uThā
umr-e-ummīd ke do din bhī girāñ the zālim
bār-e-fardā na tire vāda-e-bātil se uThā
ḳhabar-e-qāfila-e-gum-shuda kis se pūchhūñ
ik bagūla bhī na ḳhāk-e-rah-e-manzil se uThā
hosh jab tak hai galā ghoñT ke mar jaane kā
dam-e-shamshīr kā ehsāñ tire bismil se uThā
maut hastī pe vo tohmat thī ki āsāñ na uThī
zindagī mujh pe vo ilzām ki mushkil se uThā
kis kī kashtī tah-e-girdāb-e-fanā jā pahuñchī
shor-e-labbaik jo 'fānī' lab-e-sāhil se uThā