na ibtidā kī ḳhabar hai na intihā ma.alūm
rahā ye vahm ki ham haiñ so vo bhī kyā ma.alūm
duā to ḳhair duā se umīd-e-ḳhair bhī hai
ye mudda.ā hai to anjām-e-mudda.ā ma.alūm
huā na rāz-e-razā faash vo to ye kahiye
mire nasīb meñ thī varna sa.ī-e-nā-ma.alūm
mirī vafā ke sivā ġhāyat-e-jafā kyuuñ ho
tirī jafā ke sivā hāsil-e-vafā ma.alūm
kuchh un ke rahm pe thī yuuñ hī zindagī mauqūf
ki un ko rāz-e-mohabbat bhī ho gayā ma.alūm
tire ḳhayāl ke asrār be-ḳhudī meñ khule
hamīñ chhupā na sake varna dil ko kyā ma.alūm
fareb-e-amn meñ kuchh maslahat to hai varna
sukūn-e-kashtī o taufīq-e-nā-ḳhudā ma.alūm
vo iltifāt ki thā us kī intihā bhī hai
ḳhudā kī maar ki dil ko yahī na thā ma.alūm
ye zindagī kī hai rūdād-e-muḳhtasar 'fānī'
vajūd-e-dard musallam ilaaj nā-mālūm