merā saarā badan raakh ho bhī chukā maiñ ne dil ko bachāyā hai tere liye
TuuTe phūTe se dīvār-o-dar haiñ sabhī phir bhī ghar ko sajāyā hai tere liye
kitnī mehnat huī ḳhuuñ pasīna huā jism miTTī huā rañg mailā huā
ḳhud to jaltā rahā dozaḳhoñ meñ magar ghar ko jannat banāyā hai tere liye
terī har baat thī talḳhiyoñ se bharī terā lahja sadā mujh ko Dastā rahā
phir bhī thak haar kar apnā dāman maar kar maiñ ne ḳhud ko manāyā hai tere liye
mere har saañs meñ hukm shāmil tirā maiñ hilā bhī to marzī se terī hilā
tū ne jo kuchh bhī chāhā vahī ho gayā maiñ ne ḳhud ko gañvāyā hai tere liye
log kahte haiñ bechāre 'fārūq' kī maut ho bhī chukī zindagī ke liye
apnī hastī miTā.ī hai tere liye us ko jiinā bhī aayā hai tere liye