āñkhoñ meñ hai basā huā tūfān dekhnā
nikle haiñ dil se yuuñ mire armān dekhnā
bhūlā huuñ jis ke vāste maiñ apne aap ko
vo bhī hai mere haal se anjān dekhnā
dekhā jo muskurāte hue aaj un ko phir
raushan huā hai jiine kā imkān dekhnā
hai harf harf zaḳhm kī sūrat khilā huā
fursat mile to tum mirā dīvān dekhnā
chāroñ taraf hai phailā huā sabza-zār sā
bādal kā hai zamīn par ehsān dekhnā
āñkhoñ meñ ashk lab pe fuġhāñ dil figār sā
rāh-e-vafā meñ jiine kā sāmān dekhnā
chaltā huuñ ehtiyāt se 'fārūq' is liye
kar luuñ na phir kahīñ koī nuqsān dekhnā