Fani Badayuni

kuchh kam to hua ranj-e-farawan-e-tamanna

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
kuchh kam to huā ranj-e-farāvān-e-tamannā
āġhāz-e-junūñ go nahīñ pāyān-e-tamannā
phir yaas ne rakkhā hai qadam ḳhāna-e-dil meñ
yaanī hai ab allāh nigahbān-e-tamannā
go chaak huā dil magar armān na nikle
be-fā.eda kholā dar-e-zindān-e-tamannā
afsāna mirā ḳhvāb-e-zuleḳhā-e-mohabbat
jalva hai tirā yūsuf-e-kan.ān-e-tamannā
juz vāda-e-bātil nahīñ buniyād kuchh us kī
dil kaañp uThā dekh ke aivān-e-tamannā
ik jaan hai vo ḳhair se vārafta-e-ġham hai
ik dil hai so hai soḳhta-sāmān-e-tamannā
'fānī' kā dam ik din tire qadmoñ pe nikal jaa.e
dil kī ye tamannā hai ab ai jān-e-tamannā
Top Urdushayar.com