dil kā ġham se ġham kā nam se rābta bantā gayā
dhīre dhīre bārishoñ kā silsila bantā gayā
dard-o-ġham sahne kī aadat is qadar puḳhta huī
hārnā āḳhir hamārā mashġhala bantā gayā
ek ik kar ke bahut dukh saath mere ho liye
marhala-dar-marhala ik qāfila bantā gayā
zabt kā dāman jo chhūTā haath se mere to phir
merā chehra karb kā ik aa.inā bantā gayā
har taraf phailā huā thā be-yaqīnī kā dhuāñ
ḳhud-baḳhud 'fārūq' phir ik rāsta bantā gayā