vāqi.a koī to ho jaatā sambhalne ke liye
rāsta mujh ko bhī miltā koī chalne ke liye
kyuuñ na sauġhāt samajh kar maiñ use kartā qubūl
bhejte zahr vo mujh ko jo nigalne ke liye
itnī sardī hai ki maiñ bāñhoñ kī harārat māñgūñ
rut ye mauzūñ hai kahāñ ghar se nikalne ke liye
chāhiye koī use naaz uThāne vaalā
dil to tayyār hai har vaqt machalne ke liye
ab to 'fārūq' isī haal meñ ḳhush rahte haiñ
vaqt hai paas kahāñ apne badalne ke liye