Iftikhar Bukhari

banti hai sanwarti hai bikhar jati hai duniya

Iftikhar Bukhari

bantī hai sañvartī hai bikhar jaatī hai duniyā
uḌtī huī miTTī sī guzar jaatī hai duniyā
hote haiñ sabhī ḳhauf-zada chāñd-gahan se
ḳhud apne hī saa.e se bhī Dar jaatī hai duniyā
āvāz koī detā hai sadiyoñ ke safar se
ik pal ke liye jaise Thahar jaatī hai duniyā
shāyad yahī umroñ kī mashaqqat kā samar hai
bāhoñ meñ thakan ban ke utar jaatī hai duniyā
aatī hai koī yaad kabhī chāñd pahan kar
āñkhoñ meñ kisī shaam nikhar jaatī hai duniyā
Top Urdushayar.com