dasht-e-be-samt meñ ruknā bhī safar aisā thā
zindagī bhāgte guzrī mujhe Dar aisā thā
saañp lipTe hue shāḳhoñ se samar zahr-bhare
jis ke saa.e meñ lagī aañkh shajar aisā thā
raat bhar aag barastī hai havā jaltī hai
sochtā huuñ mire ḳhvāboñ kā nagar aisā thā
aks-e-ummīd bhī miltā na thā sahrāoñ meñ
aañkh tarsī thī sarāboñ ko safar aisā thā
DhūñDhtā huuñ use nīndoñ se tahī rātoñ meñ
haa.e vo shaḳhs ki jo ḳhvāb-e-sahar aisā thā
ab ki lauTā huuñ 'buḳhārī' to huuñ begāna sā
merā is shahr se jaanā to ḳhabar aisā thā