Iftikhar Bukhari

bhar aain aankhen kisi bhuli yaad se sham ke manzar mein

Iftikhar Bukhari

bhar aa.iiñ āñkheñ kisī bhūlī yaad se shaam ke manzar meñ
do būñdeñ merī hotīñ tere be-ant samundar meñ
jo sairāb kareñ tirī sabza-gāheñ umr ke paanī se
thoḌī sī hariyālī hotī un ke zard muqaddar meñ
jin āñkhoñ se rañgoñ vaalī bārish kā ik va.ada thā
vo āñkheñ to miTTī ho ga.iiñ sub.h-o-shām ke chakkar meñ
aaj bhī dhuup ke sajjāde pe namāz-e-mashaqqat maiñ ne paḌhī
aaj bhī mālik dozaḳh rakh dī tū ne mere bistar meñ
kabhī kabhī is khoj meñ dil ke darvāze tak jaatā huuñ
kis ne mujh se chhup kar merī umr guzārī is ghar meñ
Top Urdushayar.com