ishq kyuuñ rusvā huā apnā sar-e-rāhe gaahe
aa isī tarah jo mil jā.iye gaahe gaahe
be-ruḳhī ahl-e-mohabbat se ravā tum ko nahīñ
sadqa-e-husn sahī mujh pe nigāhe gaahe
dil ko mizhgāñ kā tasavvur hī bahut kaam aayā
Dūbte ko hai sahārā par-e-kāhe gaahe
aarzū hai ki tire kūche se ham bhī guzreñ
pairahan chāk-ba-īñ hāl-e-tabāhe gaahe
zindagī ḳhatm huī bas isī hasrat meñ ki vo
mujh ko paas apne bulā.e mujhe chāhe gaahe
dil meñ tasvīr tumhārī na utārūñ to kaho
parda-e-ruḳh bhī uThe jalva-panāhe gaahe
'barq'-e-ġham-dīda tirā mustahiq-e-lutf huā
sunte haiñ arsh ko jā letī hai aahe gaahe