kaT ga.ī umr yahī ek tamannā karte
sāmne baiTh ke ham aap ko dekhā karte
ai junūñ dekh chale jaate haiñ sahrā kī taraf
aql kahtī to abhī baiTh ke sochā karte
yaad aa aa ke koī zaḳhm lagā jaatā hai
varna is kūche se ham roz hī guzrā karte
sar pe hai ġham kī kaḌī dhuup kahāñ haiñ ahbāb
kaash do bol se hamdardī ke saayā karte
vaj.h-e-taskīn-e-dil-o-rāhat-e-jāñ kuchh bhī nahīñ
zindagī tere liye kis kā bahānā karte
vaqt saa.e kī tarah bhaag rahā hai yaaro
umr guzrī hai isī tarah se pīchhā karte
'barq'-sāhab ne na dekhā tujhe ai barq-jamāl
shahr meñ jā ke tire husn kā charchā karte