Talha Rizvi Barq

dard-e-dil ko dastan-dar-dastan hone to do

Talha Rizvi Barq

1941
dard-e-dil ko dāstāñ-dar-dāstāñ hone to do
shahr-e-qātil meñ zarā amn-o-amāñ hone to do
merī āh-e-nīm-shab manzil-numā-e-shauq hai
nāla-e-dil ko rahīl-e-kārvāñ hone to do
aur bhī nā-qadr-dānī-e-hunar yaad aa.egī
ham-nashīnoñ ko malāl-e-raftagāñ hone to do
dil udhar maa.il huā hī thā ki vahshat baḌh ga.ī
us kī chāhat ko zarā ātish-ba-jāñ hone to do
ḳhāna-e-be-rañg bhī hai shīsha-e-sad-rañg bhī
dil ko pahle be-niyāz-e-īn-o-āñ hone to do
surḳhī-e-ḳhūn-e-tamannā ābrū-e-ishq hai
ārzūoñ kā lahū rañg-e-bayāñ hone to do
hai nihāñ mashq-e-suḳhan meñ fikr-o-fan auj-e-suḳhan
haañ zamīn-e-sher ko 'barq' āsmāñ hone to do
Top Urdushayar.com