khiḌkī darvāza kholo
jo bhī kahnā hai kah do
āḌī-tirchhī ek lakīr
dekho socho aur samjho
pairoñ kī beḌī khankī
sannāTo tum bhī bolo
kaisī ḳhushiyāñ kaise ġham
patto TuuTo aur bikhro
dil badlā shakleñ badlīñ
tum bhī badlo ā.īno
insānoñ kī bastī hai
is jañgal meñ kyuuñ Thahro
guzre dinoñ ko yaad na kar
murda logoñ par mat ro
lauT ga.iiñ sab āvāzeñ
tum bhī apne ghar jaao